Aaj kal jo bhi dekhne ka mann karta hain
dekh lete hain badi asaani se
Online stream ho gayi hain kahaniyaan
4G ki meherbaani se
ab kuch dekhne ki bebasi ho,
toh use offload ker liya karte hain
humein jo dekhne ka waqt na ho,
use download kar liya karte hain
par in saari sahuliyat se door
ek aisa daur bhi hua karta tha
jab internet ko dekhne ka maza kuch or hi hua karta tha
ye woh daur tha jab kitaabon ke aakhri panne per
'loves me ,loves me not' likh ker parakh liya karte the
aur Doordarshan ki aad mein,
fashion TV dekh liya karte the
Tab,
web series mein ulajhe hi nhin the
Human biology samajhe nhin the
jab desi masala ka jaadu
online ki duniya mein bika hi nahin tha
jab badmashiyaan sikhane waala
Naughty amrika bhi nahi tha
Tab le jaate kuch CDs ko lapet kar
akhbaar mein doston ki demand par
aur mil jaati thi kuch kahaniyaan kitaabon ki shakl mein
railway stall ya bus stand par
jinhe padh kar daudti thi nas nas mein ravaniyaan
jinke kahaniyon mein suspense aur title mein hairaniyan
jinke panno mein qaid hain
ladakpan ki nishaniyaan
yeh netflix wali janta kya hi samajh payegi
dil pe kya keher dhaati thi manohar kahaniyaan
Mujhe aaj bhi yaad hain
New Dehli station ka von manzar
kaanp rahe the jism 4 sweateron ke andar
Waiting room se toh bas pariyaan nikal rahin thi
mujhe lag raha tha ke unmein se koi thi jo mujhe dekh rahin thi
khair padhne ke liye uss din ki khabrein
pahunch gya railway stall ke paas
aur achanak se chodharyji ne kitaab pakda kar mujhe kaha
"beta ise padhna. Ise padhke milega
sardiyon mein garmiyon ka ehsaas."
kya hain ki unko lag raha tha ki
unhone kisi batke hue naujawan ka mann rakha tha
mere keel munhase bata rahe the ki
mene abhi abhi jawani ki dehleez par kadam rakha tha
Chodharyji ne samjhaya
ki achche logon ke vichaar toh
Iss kitaab ke saanche mein dhalte nahin hain
Aur jo Manohar Kahaniyaan padhte hain woh
bahut der tak baathroom se nikalte nahin hain
bas, phir kya tha
sweater ki aad mein humne bheed se kattna shuru kiya
Waiting room ke baathroom mein
baithkar jab panne palatna shuru kiya.....toh Offo!
Kya kya kahaniyaan thi
kaun mehfil mein aisi baatein bole
pehli hi kahani ka shirshak tha
'kya hota hain jab jawaan dewar bhabhi ki gaanthein khole'
kya hain na ki tab mujhe pata chala ki kis tarah se title hi de kar
pdhne waale ko shock kiya jaata hain
Bhabhi nahin, koi password hain jisse unlock kiya jaata hain
Aisi kahaniyaan jinko padh kar
soya raat bhar nahin tha
Agli kahani naukar ne likhi thi
'uss raat jab maalik ghar par nahin the'
jab maalkin ne mohan se kaha ki
"Ab na humein bebas karo"
Aur ghadi ke kaante keh rahe the
"Hadh ho gayi KUMAR bas karo"
kyunki December ke mahine mein
jaise mann ko geela saawan mila
Agli kahani thi jab
"Sonam ko naya saajn mila"
Har dusre panne pe aawaaz thi
uff! ayr Aah! ki
par darwaze se koi andar na aa jaye
darwaze par nigaah thi
jab mujhe laga ki ufaan pe
dilon mein jazbaaton ke bawandar aa gaye
tab achanak darwaza khula
aur papa andar aa gaye
Tab aisa laga ki kisi gumshuda hotel per
jaise police ki dhaad padi
Zindgi bhar yaad rahegi
belt, joote aur thappad se mujhe itni maar padi
Phir toh main aise baahar nikla jaise thappad toh door
ki baat kisi ne mujhe chhua tak nahi tha
Hawas ki nigaahon pe sharafat ka chashma pehna
jaise kuch hua hi nahi tha
par papa nazar nahin aa rahe the
bheed se nadaarad the
jisse main pandit samajh baitha tha
woh toh kisi aur hi kala mein vishaarad tha
yaani ki ab tak jo sanskaaron ka hawala de kar
mujhse ladd rahe tha
wohi 12(bhaarvi) pareeksha ki kitaab ki aad mein
manohar ki kahani padh raha tha
jab unhein laga ki munsif khud
kathghare mein ghir chuka hain
Tab sakpakaate hue bole ki
"main toh yeh dekh raha tha ki tu
kis hadh tak neeche gir chuka hain"
mujhe laga ki kudrat ne
karmon ke phal wala insaaf kiya
papa se mene kuch nhin kha
Dil hi dil ke andar maaf kiya
mujhe laga ki agar papa, aur hum sab ke papa
agar aisi kitaabon se rishta nibhate nahin
toh main aur mujh jaise kayi dost
waqt par duniya mein aate nahi
khair, aise mein yaatrigan ki duaaein
apna hi asar la gayin
achanak se 'Aravli Express' bhi platform 3 par aa gayi
Saari pariyaan waiting list room se nikal kar
seedhe mere hi dabbe mein agayi
Uske baad jo saamne waali sheet per baithi
toh kya nazaara tha huzoor
Usne dabi waaz mein kaha
"Aakhri kahani kaafi dilchasp hain, padhiyega zaroor."
kaafi difficult, kaafi asaan
Toh kabhi easy hoti hain
kaviyon ki kahani mein masala hota hain
kahani kaafi cheesy hoti hain
Har roz humein mil jaati hain zindagi mein aisi hairaniyaan
aur kabhi cheesy story sunne ka mann kare na
toh railway stall jaa kar padh lena
Manohar Kahaniyaan.